NAMAAZ (5) WQT KI
ABU USMAN (RA) KEHTAY HAIN KAY MAY HAZRAT SALMAN (RA)
K SAAT AIK DAARAKHT (TRE) K NEECHAY THAA UNHO NAY USS (DARAKHT) KI AIK (KHOOSHK) TEHNI (STEM) PAKAR KER US KO HERKAT DE JIS SAY USS KE (PAAT TAY) (LEAFS) GEER GAEY, PHIR MUJAH SAY KEHNAY LAGAY K ABU USMAN (RA) TUM NAY MUJAH SAY YA NA POOCHA K MAY NAY AISA KION KIYA, MAY NAY KAHA K BATA DEEJIYA KION KIYA UNHO NAY KAHA K MAY AIK MAARTABA APP (HAZOOR SALLALAHO ALIE WASALUM) K SAAT AIK DARAKHT (TREE) K NEECHAY THAA APP (SAW) NAY BHI DARAKHT KI AIK KHOOSHK TEHNI PAKAR KER ISI TARAH KIYA JIS SAY USS TEHNI K (PATTAY) JHAAR GAEY THAAY PHIR APP HAZOOR SALLALAHO ALIE WASALUM NAY IRSHAD FERMAYA THAA K
(SALMAN(RA) POOCHTAY NAHI KAY MAY NAY ISS TARAH KION KIYA MAY NAY ARZ KIYA K BATA DEEJIYA KION KIYA, APP (SAW) NAY IRSHAAD FERMAYA K JAB MUSALMAN (ACHI TARAHN) SE (WAZOO KERTA HAI) PHIR (5) WAQT KI NAMAZAYN PERHTA HAY TAU US KI (KHAATAEYN) AISAY HE GER JATI HAIN JIS TARAH YA PAATTAY GEERTAY HAIN, PHIR APP
(HAZOOR SALLALAHO ALIE WASALUM NAY)
(QURAN) KI AYAT
(AKIMIS SALAH ..TARA FENNEEHAR ) TAK TALAWAT FERMAEY JIS KA TAARJOOMA YA HAY K ( QAIM KER NAMAZ ) KO DIN K
(DOONO SEERO'N) MAY AUR RAAT K KOCH HEESO'N MAY BAY SHAK NAIKIYAN DUUR KERDAYTI HAIN GUNAHOO'N KO YA NAEEHAT HAY NASEEHAT MAAN WALOO'N K LIYA..
NAMAZ KI BARKAAT
(MUSALMAANO KE LIYE SAB SE PEHLA FARAZ NAMAZ HAI,) (MAGAR AFSOS KI AAJ HAMARI MASJIDE VEERAN HAI.!)
(YAKEENAN NAMAAZ DEEN KA SUKOON HAI)
(NAMAZ ALLAH KI KHUSHNUDI KA SABAB HAI.)
(NAMAAZ SE REHMAAT NAZIL HOTI HAI.)
(NAMAAZ SE GUNAH MAAF HOTE HAI)
(NAMAAZ SE ROOZI MAIN BARKAAT HOTI HAI.)
(NAMAAZ ANDHERI KABAR KA CHIRAAG HAI.)
(NAMAAZ AZAABE KABAR SE BACHATI HAI.)
(NAMAAZ JANNAT KI KUNGI HAI.)
(NAMAAZ POOL-SIRAAT KE LIYE ASAANI HAI.)
(NAMAAZ JAHANNUM KE AZAAB SE BACHATI HAI.)
(NAMAZ MEETE MEETE AAQA SALLALLAHU ALAIHI WALLAM KI ANKHO KI THANDAK HAI.)
(NAMAAZ KO SARKAR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI SHAAFAYAT NASEEB HOGI AUR NAMAAZI KE LIYE SAB SE BADI NIYAMAAT YE KI USSE BEROZE QAYAMAT ALLAH KA DEEDAR HOGA.!)
(FAIZANE SUNNAT SAFA) NO (:1032)
NAFIL NAMAZ
NAFIL NAMAZ KA HOKUM YEH HAI KE IS KO PARHE TO BUHAT SAWAB PAYE AUR NA PARHE TO GUNAH NA HO GA MAGAR SAWAB SE MEHRUM HOGA. GHAIR MOAQQADA SUNNATON KA BHI YAHI HOKUM HAI. RIKATON KE BIYAN MEIN JIN SUNNATON KA ZIKAR HUA HAI IN MEIN(ASAR KE FARZON AUR ISHA KE FARZON)
SE PEHLE JO (CHAR SUNNATAIN HAIN) WHO GHAIR MOAKKADA HAIN IN KE ELAWA BAQI SAB
(SUNNATAIN MOAKKADAH HAIN)
YANI IN KI BUHAT TAKEED AAYI HAI. IN KO ZARUR PARHO. AUR AGAR KOI (MARZ KI BUHAT ZIADAH TAKLEEF HO YA SAFAR MEIN BUHAT JALDI HO, TRAIN, BUS, AROPLANE CHUTNE WALA HO TO IS MJBURI MAIN HIN
(MOAQQADA SUNNATAIN CHORNE KI BHI GUNJAISH HAI.)
ALLHMDU LILLAH NMAZ
SALAT AL TASBEEH
IS NAMAAZ KE PRAHANE SE BAHUT BE INTEHA SAWAAV HAI !AAN HAZRAT SALALLAHU ALAIHE WASALLAM NE APNE CHACHA HAZRAT ABBAS R.AKO YAH NAMAAZ SEEKHAYI THI AUR FARMAYA THA KI YE CHACHA JAAN, IS KE PARHANE SE BAHUT AAP KE AGALE PEECHALE, NAYE PURANE, CHOTE, BARE SAB GUNAAH MAAF HO JAYENGE
AUR FARMAYA THA KI HO SAKE TU HER ROZ YA NAMAAZ PARHA KAREN AUR AGAR ROZAANA NA HO SAKE TU HAFTE ME EK MARTABA PARH LEN.
AGAR HAFTE ME BHI NA PARH SAKTE HAI TU HER MAHINE PARH LIA KAREN
AUR AGAR MAHINE ME NA HO SAKE TU SAAL ME EK DAFA PARH LEN
AUR AGAR YEH BHI NA HO SAKKE TU EK MARTABA ZARUR PARH LRN
IS NAMAAZ ME YAH TASHBEEH PARHI JAATI HAI
(سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ )
IS KA TARTEEKAYAH HAI KI ( 4 ) RAKAAT SALAT AL TASBEEH KI NIYAT KARE AUR TAKBEER KAH KAR HAATH BAND LE AUR PHIR
SANA KE BAAD (15) BAAR
( سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ )
SURAH FATEHA AUR KOI SURAH PARHANE KE BAAD .( 10 ) BAAR
( سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ )
RUKU KI TASBEEH SUBHAN RABBIL AZEEM KE BAAD ( 10 ) BAAR
RUKU SE UTH KARKOUMA ME ( 10 ) BAAR
PAHALE SAJDE ME TASBEEH SUBHAN RABBIL AZEEM KE BAAD (10 ) BAAR
DONO SAJDON KE KE DARMIYAN BAITH KAR ( 10 ) BAAR
DUSARE SAJDE ME TASBEEHAT KE BAAD ( 10 ) BAAR ...... IS TARAHN YE ( 75 ) BAAR EK RAKAAT ME
DUSARI RAKAT ME KHARE HO KAR SURAH FATEHA SE PAHALE (15 ) BAAR
KIRAAT YANI FATEHA AUR KOI DUSARI SURAH KE BAAD ( 10 ) BAAR
RUKU ME ( 10 ) BAAR
KAUMA ME ( 10 ) BAAR
DONO SAJDON ME ( 10 ) BAAR
SAJDON KE DARMIYAN JALSA ME ( 10 ) BAAR
ISI TARAH (3 ) AUR ( 4 ) RAKAAT ME BHI PARHEN
HER RAKAAT ME ( 75 ) MARTABA HONGE AUR CHARON RAKAAT ME MILA KAR YE ( 300 ) BAAR YAH TASBEEHAT HOJAYENGI.
AGAR KISI TARAH KISI JAGAH BHOOL JAYEN TU RUKU ME ( 20 ) PARH LEN YA RUKU ME BHOOL GAYE TU KAUMA ME YA KOMA ME BHOOL GAYE TU SAZDE ME PARH LEN........
INSHA ALLAH .. SAB BHAI & BEHEN PARHENGI AAJ KI RAAT AUR RAMZAAN ME BHI ISKO KASRAT SE PARHEN AUR ALLAH KI AZEEM NAIMATON SE MALAMALL HON..
ADMIN IRFAN KHAN , YASMIN KHAN SUGHRA, TAHNIYAT KHAN BHI AAP SAB SE DUA KI DARKHAST KARTE HAIN...... LIKHEN ME KUCH GALTIYAN HUI HON TU MAAFI KA HAQDAAR HOON....



